Saturday, March 21, 2015

Ansoo poetry | Dil poetry | ankhee bheeg jati hain

Hazaroon masoomo ki hukmarni mery dil py
jub b hansti hu ankhee bheeg jati hain.

Tery baad | Love poetry

Itna likhu ga tery bary ma tery baad,
aany walo nay tujy pehly say dekha hoga.

Raat bohat kali hai | khawab poetry

Meri taraf raat bohat kali hai
               Faraz
Tum so jao to shaid chand idhr aa jay.

Andheri raat ka diya hai dosti | Friendship poetry

Har gam ko khushi mea badalti hai dosti,
Har ansu ko hansi mey badalti hai dosti,
Kuch log samajh nahi patey ke,
Andheri raat ka diya hai dosti.

Bana Ghulaab to | Dukhi poetry

Bana Ghulaab to kanty Chuba gaya ek shakhs,
Hua charagh to ghar hi jala gaya ek shahkhs.

December ki dhoop | December poetry

Zara si dair december ki dhoop main bethy,
Ye furstain humain shayed agley saal na milain..

Meray saath tab tum b thay | Dard poetry

Bay mahriy-e-hayaat ki shidat k bawajood dil mutma’in
Tha jab k meray saath tab tum b thay.

Yeh kya kam hai | Bewafa poetry

Yeh kya kam hai k
mar janay py duniya yaad karti hai
Kesi k ishq main duniya lut’ta kar
hum bhi dekhain gaye.

Friday, March 20, 2015

Is bar bhi barish khoob hui | Barish poetry

Is bar bhi barish khoob hui aur baadal toot k barsa tha,
galiyaan koochy jal thal thy par soch ka darya payasa tha,
band darwazon k shishon pe jab boondon ne dastak di,
ehsas hua tum aye ho andaz tmhary jesa tha.

Zubaan say adaa nahi hoty | Ansoo poetry

Jo zubaan say adaa nahi hoty
inhi lafzoo say ashqq banty hain.

Kuch tou Rishta Hai | Urdu poetry | Sad poetry

Kuch tou Rishta Hai Tum Sy Kam-Bakht,
Kuch Nahi, Koi Bad'Dua ee Bhejh Do.

Dil say teri nigaah jigar tak utar gayi | Love poetry

Dil say teri nigaah jigar tak utar gayi,
Dono ko aik nazar mein razamand kar gayi.

Ba’z oqaat kisi or kay milnay say | romantic poetry

Ba’z oqaat kisi or kay milnay say iqbal,
Apni hasti sa mulaqat bhi ho jaati hai.

Bahaar saaray chaman ki | romantic poetry

Bahaar saaray chaman ki aeein hoti hai,
Bahaar chand guloon ki hansi ka naam nahi.

Thursday, March 19, 2015

Soo baar chaman mehka | Tanhai poetry

Soo baar chaman mehka, soo baar bahaar ayi,
Duniyaa ki wohi ronaq, dil ki wohi tanhayi.

Umer Bhar Ki Yadain | Tanhai poetry | urdu poetry | Yaad poetry

Jin Ke Paas Hoti Hain Umer Bhar Ki Yadain,
Woh Log Tanhai Mein Bhi Tanha Nehi Hotay.

kisi muqaam per main kaam aa sakon | Tanhai poetry | urdu sad poetry

Shayed kisi muqaam per main kaam aa sakon,
Mujh ko bhi sath lijiye tanha na jaiye.

Jin ko khawab dekhny ki adat hoti hai | Khawab poetry

Jin ko khawab dekhny ki adat hoti hai
un ko raat choti lagti hai
jin ko khawab pura karny ki adat hoti hai 
unko din chota lagta hai.

Sudh budh apni kho betha hu | love poetry | romantic poetry

Sudh budh apni kho betha hu
jaany kis ka ho betha hu.

Tum Nay Hi Majboor Kiya | Urdu sad poetry | Bewafa poetry

Tum nay hi majboor kiya hai, Mujh ko raah badalney per
Jeewan k bay-ant safar mein, Gair ka ho kar chalny per
Mea nay tumhari aasha’on ka, Her her roop saraha tha
Meine apna aap bhula kar, Tum ko toot k chaha tha
Umer ki ujli deewaro per, Qismat ka andheyaara tha
Aur boht they suraj lekin, Tum sa charaagh hi piyara tha
Lekin tum hi mery maseeha, Nafrat k saanchay mein dhal kar
Ik Din mery saamney aa gaye, Qaatil ka behroop badal kar
Ab kia shikwa, Kesi Shikayat, Chahat k sab rishtay kachay
Mein bhi aur tum bhi har-jaai, Mein bhi theek aur tum bhi sachay.

Barish aur mohabat | Urdu sad poetry | Barish poetry

Barish aur mohabat dono hi bohat yaadgaar hoty hain,
Farq sirf itna hai,
Barish main jism bheeg jata hai aur mohabbat main ankhain.

Bikhri aik baar | Urdu sad poetry | Arzoo poetry

Bikhri aik baar to haath i hai kab mooj-e-shameem,
Dil sa nikli hai to kab lab-e-faghaan thahri hai .

Dil Ne Kaha Ankh Say | Urdu sad poetry

Dil Ne Kaha Ankh Say, Dekha Karo Kum,
Kyun k Dekhte Ho Tum, Aur Tarapte Hai Hum,
Us Par Aankh Ne Kaha Dil Se, Socha Kro Kum,
Kyun k Sochte Ho Tum Aur Rote Hai Hum.

Aansoo Se Bhar Gaya Daaman Mera | Sad Urdu poetry

Aansoo Se Bhar Gaya Daaman Mera,
Hath To Mea Ny Uthaye Thay Dua Kis Ki Thi.

Tuesday, March 17, 2015

Ghazab Ka Saal Hai

Ajjab Si Yeh Chaht Hai
Ye Pehli Muhabbt Hai,
Pucho Na Kesa Haal Hai
Andheron May Ujjalon Mea
Main Khoi Hon Hayalon Mea,
Ye Tou Ghazab Ka Saal Hai.

Yea to soucha bhi nahi tha

Yea to soucha bhi nahi tha
K wo mar jay ga
chand ik kabar k seeny ma utar jay ga,,

Bey tawaja to nahi hum chaman ki tabahian

Bey tawaja to nahi hum chaman ki tabahian,
Kuch baaghbaan hain Barq o sharar say milay huye.

Zabt se ehad baand rakha tha

Zabt se ehad baand rakha tha,
Aur phir bhi bikhar gaye aansu..

Udas Muskurahaton Ke Peche

Udas Muskurahaton Ke Peche,
Ghum Ke Railay Hain
Ab Tumhain Kya Batayain,
Ke Tum Bin Kitne Akele Hain.

Monday, March 16, 2015

Kuch Aise Log Jo Khaas Bohat

Kuch Esy Log Jo Khaas Bohat,
Jo Ahem Bhi Hon Aur Pyare Bhi
Tareef Main Jin K Lafz Na Hon,
Tou Aam Se Lafz Hum Likhai Kyun
Kuch Safhay    
Kuch Line
Kuch Warq

Katon si chubti hai Tanhai

Katon si chubti hai Tanhai,
Angaron si sulagti hai Tanhai
Koi aa kar hum dono ko haansa de,
Main rota hoon rone lagti hai Tanhai
Jab bhi tere Hisar se nikalna chaha,

Ye Duuria Ye Faasley

Ye Umr Bhr Ki Hyn Musafatai,
Ye Duuria Ye Faasley
Tum Chaho Tou Kuch Ajab Nh,i
Ye Pal Main Sar Ho Jaye
Main Kaat Sakunga Na Tanha,
Na TumKaat Sako Gey
Ye Zeest lk Kathin Raasty,
Aao Humsafar Ho Jaye.

Dard Palkon Se Chalak Jaata Hai Waapis Aa Jaa ,

Dard Palkon Se Chalak Jaata Hai Waapis Aa Jaa ,
Hijar Tu Bhi Nahi Seh Paata Hai Waapis Aa Jaa,
Teri Furqat K Sabab Raat Se Ghabraati Hoon ,
Khauf Insaan Ko Nigal Jaata Hai Waapis Aa Jaa,
Ye Jhijak Chhorr Bhi De, Zid Nahi Karte ,
Aate Aate Koi Aa Paata Hai Waapis Aa Jaa,
Ye Kalaayi Tere Kangan K Bharose Hai Abhi ,
Waqt Waapis Nahi Phir Aata Hai Waapis Aa Jaa,
Raat Pathar Ki Tarah Seene Pe Aa Tikti Hai ,
Dil Sar-e-Shaam Machal Jaata Hai Waapis Aa Jaa,
Siskiyaan Mere Taaqqub Mein Hai Kiyon Kar Aakhir ,
Kaheen Mar Mar K Jiya Jaata Hai Waapis Aa Jaa,
Tujh Ko Maalom Bhi Hai, Raat Ki Hiddat Ka Chalan ,
Dard Lawe Mein Badal Jaata Hai Waapis Aa Jaa,
Aakhri Baar Khabardaar Tujhe Karti Hoon ,
Ayesha Naam Mita Jaata Hai, Waapis Aa Jaa,

Yad-e-mazi azab hai

Yad-e-mazi azab hai ay khuda ,,
             Cheen lay mujhsey hafiza mera.

Aik pehchaani si awaaz aati hai mujheyy

Yeh samaat ka bharam hai ya kisi naghmay ki goonj,,

                                             Aik pehchani si awaaz ati hai mujhy,,

Sajda ishq ho to


Kabi khamosh betho gay

Kabi khamosh betho gay
              kabi kuch gungunao gay
Mea itna yaad ao gi
             Mujy jitna bulao gy

Mujhe apne barbad Hone ka gum nahi

Mujhe apne barbad Hone ka gum nahi,
Teri barbadi ka suna Tu bohat roya.
Main ne Har pal har Su tujhe Yad kia,
Jab Tujhe Apni Yad se Gaafil paya tu bohat
Roya.
Ye zindagi Ye Ronaqein
Ye ranjishein, Jab in Sab me Tujhe
Tanha paya Tu bohat Roya.
Main ne apne Dil k har Konay me sirf tujh
ko hi Bsaya,
Tere Dil me Basa jabKoi Or dekha Tu bohat
Roya.
SajiD! Jaanta tha k To Es k Nasib me nahi
Hai.
Lekin phir B tujhe khuda Se Baar baar maanga
Tu Bohat Roya.

Sunday, March 15, 2015

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...