Saturday, March 28, 2015

Agr tum ijazat do to | Urdu poetry | Ijazat poetry

Urdu poetry | ijazat poetry
Agr tum ijazat do to,
Chand lafzo mea keh daly,
K tum bin mar to sakty hain,
Tum bin jee nahi sakty.

Nend nahi ati | Nend poetry | Urdu poetry

Nend poetry | Urdu poetry
Kitny nazuk mizaaj hain wo kuch na pouchiaay,
Nend nahi ati inhe, Dharkan k shoor say.

Friday, March 27, 2015

Chal para hu mea zamany k asool per | Sad poetry | Bewafa poetry

Sad poetry | Bewafa poetry
Chal para hu mea zamany k asool per,
Mea ab apni hi baato say mukar jata hu.

Mujy tum say mohabbat hai | Mohabat poetry | Urdu poetry

Mujy tum say mohabbat hai, Had-e intaha tak,
Mujy byaan karna nahi ata,
or,
Samjhna tery bus ki baat nahi.

Barish ka mosam | Barish poetry | Urdu poetry

Barish ka mosam | Barish poetry | Urdu poetry
Barish poetry | Urdu poetry
Dil-e-nadaan pey agr zakham thory kam hoty na,
Bohat pasand ana tha aj ki barish ka mosam.

Agr tum dil say mery ho | Urdu poetry | Dil poetry

Agr tum dil say mery ho | Urdu poetry | Dil poetry
Urdu poetry | Dil poetry
Agr tum dil say mery ho,
To bus ik tum hi kafi ho.

Dard-e judai ki qasam | Dard poetry | Judai poetry

Dard-e judai ki qasam | Dard poetry | Judai poetry
Bytaab hum bi hain,
Dard-e judai ki qasam,
Roota wo b hoga,
Nazarain chura chura k.

Nazar andaaz karny ki saza | Saza poetry | Urdu poetry

Nazar andaaz karny ki saza | Saza poetry | Urdu poetry
Saza poetry | Urdu poetry
Nazar andaaz karny ki saza dyni thi tujy,
Tery dil mea utr jana zaroori ho gaya tha.

Mohabbat ka jawab | Mohabat poetry | Urdu poetry

Mohabbat ka jawab | Mohabat poetry | Urdu poetry
Mohabat poetry | Urdu poetry
Mohabbat ka jawab mohabbat ni, Izat hua karti hai,
Chaa-hay wo muhabbat day kar di jay ya chuuph kar.

Humy koi nahi cahta | Urdu poetry | Tanhai poetry

Humy koi nahi cahta | Urdu poetry | Tanhai poetry
Urdu poetry | Tanhai poetry
Tum yea mat samjhna k,
Humy koi nahi cahta,
Tum chor do gay to mooat apna lay gi. 

Thursday, March 26, 2015

Bohat masroof zindgi | Zindgi poetry | Urdu poetry

Bohat masroof zindgi | Zindgi poetry | Urdu poetry
Zindgi poetry | Urdu poetry
Bohat masroof zindgi k sil-si-lay hain,
Khuda gawaa hai kon phir b apko rooz yaad karty hain.

Tumhe yea kon batay | Aarzoo poetry | Aansoo poetry

Tumhe yea kon batay | Aarzoo poetry | Urdu poetry
Aarzoo poetry
Tumhe yea kon batay,
Tumhe yea kon samjhaay,
Bohat khamosh rehny say,
Tal-a-uq toot jaty hain.

Hum un ko hi rula dyty | Urdu sad Poetry

Hum un ko hi rula dyty | Urdu sad Poetry
Urdu sad Poetry
Kassh! wo eak Moqa dyty baat karny ka,
Hum un ko hi rula dyty un k sitam suna suna kar.

Gam mea muskurany ki | urdu poetry

Gam mea muskurany ki | urdu poetry
Jis nay adaa sheak li,
Gam mea muskurany ki,
Usy kaya mitaay gi,
Gardashy zamaany ki.

Wednesday, March 25, 2015

Phir Dukh mily gay | Urdu sad poetry | Pyar poetry

Phir Dukh mily gay | Urdu sad poetry | Pyar poetry
Phir Dukh mily gay tyaar reh ay dil,
kuch log peshh aa rahy hain pyar say.

Jeeny day ay Ishq | Urdu sad poetry

Jeeny day ay Ishq | Urdu sad poetry
Na tang ker jeeny day ay Ishq,
Teri qasam mea tery agy,
Haar gaya hu.

Dost ki suchai ka imtehaan na lo | Dosti poetry | Friendship poetry

Kabi apny dost ki suchai ka imtehaan na lo,
kaya pata us waqat wo majboor ho,
or tum aik acha dost kho betho.

Us ki arzoo karna | Aarzoo poetry | Urdu sad poetry

Choor diya hum nay hamesha k liy,
us ki arzoo karna,
Jis ko mohabbat ki qadar na ho usy duaoo ma kaya maangna.

Pyar ata hai | Pyar poetry | Mohabat poetry

Naa ho jaay, Husan ki shaan ma gustakhi kahi,
tum chaly jao,
K tumhe dekh k pyar ata hai.

Dil khool k haansy | sad poetry | Dil poetry

Hamaray liy nahi,
Hum per sahi,
Chalo wo aj dil khool k haansy to sahi.

Ishq to qatil hai | Ishq poetry | Dil poetry

Ishq to qatil hai,
bohat masoom logoon ka,
Jaan-e-ku loog mujrim ko dil mea panhaa dety hain.

Sad poetry | Humsafa koi nahi | Humsafar poetry

humsafa koi nahi
Ajeeb paheliyaan hain hathoo ki lakiroo mea,
Safar hi likha hai magar humsafa koi nahi,

Monday, March 23, 2015

Usy zindgi mubarak | Zindgi poetry | Sad poetry

Mery muqadar mea to teri yaad hai,
Lykin,
Tu jis ka muqar hai usy zindgi mubarak.

Yea zaroori nahi | Sad poetry

Yea zaroori nahi har baat wo meri samjy,
Magar zaroori hai k wo mujy kuch to samjy.

Bewafa kehty hain wo mujy | Bewafa poetry | sad poetry

Bewafa kehty hain wo mujy,
such hi to kehty hain,
Hum nay sadiyoo say unky siwa kisi say wafa jo nahi ki.

Mohabat poetry | Mujy tum say mohabat hai | Love poetry

Mujy tum say mohabat hai, had-e-intaha tak
mujy byaan karna nahi ata or samjna tery bus ki baat nahi.

Tanhai poetry | sad poetry | Udaasi, shaam, tanhai

Udaasi, shaam, tanhai, kasak yaado ki becheyni,
mujy sub sonp kar soraj utar jata hai pani mea.

Bewafa poetry | sad poetry | bus jo wafa kary ga

Lo aj say hum nay b badal li apni zindgi,
bus jo wafa kary ga wo hi dil ma rahy ga.

Sunday, March 22, 2015

Love poetry | romantic poetry | Bhool Jana Bhula Dena

Bhool Jana Bhula Dena Faqat Ek Veham Hota Ha,
                           Dilon Pe Raj Karte Hein Muhabbat Jin Se Ho Jaye.

Tanahi poetry | Alone poetry | hum say hafaa

Bus isi baat py hai hum say hafaa,
gardash-e-waqat
hum nay sheeky nahi andaaz zamaany waly.

Love poetry | Tu Naraz na raha kar

Tu Naraz na raha kar,
tujy wasta hai khuda ka,
ik tera chera khush dekh kar,
hum apny gham bhula dyty hain.

Sad poetry | Badnaam karty hain loog

Badnaam karty hain loog sheyr mea humy,
jis shakhs k naam say,
kasam say is shakhs ko kabi hum nay,
ji bhar k dekha bi nahi.

Dukh poetry | Insaan ko dukh ni

Insaan ko dukh ni,
balky dukhoo mea,
apnoo k rawiay toorh dyty hain.

Hamesha Sath Rehny Ki

Hamesha Sath Rehny Ki
Adat Kuch Nahi Hoti

Jo Lamhey Mil jayein Jee Lo
Riyazat Kuch Nahi Hoti

Jise Mehromiyan Mili Hon
Wohi Jan Sakta Hai

Zubani Hosla, Jhooti Murawwat
Kuch Nahi Hoti
Kai Rishton Ko Jab Parkha

Natija Ek Hi Nikla
Zarorat Hi Sab Kuch Hai

Mohabbat Kuch Nahi Hoti
Kisi Ne Chor Ke Jana Ho

Tu Phir Chor Hi Jata Hai
Bicharna Ho To Sadiyon Ki
Rafaqat Kuch Nahi Hoti

Ta’alluq Toot Jaye T0
Safeeney Doob Jate Hain

Ye Sab Kehne Ki Batain Hain
Haqeeqt Kuch Nahi Hoti.

Dard poetry | Laakh zamanaa zulm dahaye

Laakh zamanaa zulm dahaye,Kabi waqat na wo khuda dikhay,
Jab mujhey ho yaqeen kay tu hasil e zindagi nahi.

Friendship poetry | Zamana dost hai sara

Zamana dost hai sara kis kis ko yad rakhoo gay,
Khuda kary ke tumhe mujhse dushmani ho jay.

Ghazal Poetry | Dharkan dharkan

Dharkan dharkan yaadoon ki baraat akela kamra
Mein aur mery zakhmi ehsasaat akela kamra
Gaye dino’n ki tasweer’on k bujhtay huay naqoosh
Taaza, tark-e-ta’alluq k sadmaat akela kamra
Dosh-e-hawa per urrney walay khiza’n k aakhri pattay
Apni akeli jan, gam-e-halaat akela kamra
Akhri shab k chand se karna, balcony mein baatain
Us k sheher mein hotel ki ye raat, akela kamra.
Meri sisakti awazo’n se goonjti hain deewar’ain
Sunta hai din raat, mery naghmaat akela kamra
Sab samaan ba’hum hain ‘Sajid’ likhny likhanay kay
Khoon-e-jigr aur aansu, dil ki dawaat, akela kamra.
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...