Dharkan dharkan yaadoon ki baraat akela kamra
Mein aur mery zakhmi ehsasaat akela kamra
Gaye dino’n ki tasweer’on k bujhtay huay naqoosh
Taaza, tark-e-ta’alluq k sadmaat akela kamra
Dosh-e-hawa per urrney walay khiza’n k aakhri pattay
Apni akeli jan, gam-e-halaat akela kamra
Akhri shab k chand se karna, balcony mein baatain
Us k sheher mein hotel ki ye raat, akela kamra.
Meri sisakti awazo’n se goonjti hain deewar’ain
Sunta hai din raat, mery naghmaat akela kamra
Sab samaan ba’hum hain ‘Sajid’ likhny likhanay kay
Khoon-e-jigr aur aansu, dil ki dawaat, akela kamra.
No comments:
Post a Comment